ehsas-e-na-rasai se jis dam udas tha
shayad wo us ghaDi bhi mere aas pas tha
mahfil mein phul KHushiyon ke jo banTta raha
tanhai mein mila to bahut hi udas tha
har zaKHm-e-kohna waqt ke marham ne bhar diya
wo dard bhi miTa jo KHushi ki asas tha
angDai li sahar ne to lamhe chahak uThe
jangal mein warna raat ke KHauf o hiras tha
suraj pe waqt ka jo gahan lag gaya 'hanif'
dekha to mujh se saya mera na-shanas tha
Ghazal
Ehsas-e-na-rasai se jis dam udas tha
Hanif Tarin