اردو हिंदी
Ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae | Shaahi Shayari
ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

Ghazal

Ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

Arsh Malsiyani

;

ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae
go lakh dur the wo magar pas aa gae

ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi
wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae

dair o haram hai aur to hasil na kuchh hua
sajde ghurur-e-ishq ki qimat ghaTa gae

tanha-rawi mein yun to musibat thi har qadam
hum ahl-e-karwan se to pichha chhuDa gae

kitna fareb-kar hai ehsas-e-bandagi
hum manzil-e-KHudi se bahut dur aa gae

ulfat mein fikr-e-zist nadamat ki baat thi
achchhe rahe jo jaan ki bazi laga gae

jo haal un ka tha wo hamin jaante hain 'arsh'
yun wo hamari baat hansi mein uDa gae