ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein
ruswaiyon ki bhiD mein inam do hamein
KHuddariyon ki dhup mein aaram do hamein
saughat mein hi gardish-e-ayyam do hamein
ehsas-e-lams jism ki is bhiD mein kahan
kali ruten gunah ka paigham do hamein
gum-sum hisar-e-rabt mein hai lamha-e-azab
KHwahish ka karb fitrat-e-badnam do hamein
be-zariyon ko dasht-e-nafas mein sameT kar
dard-ashna junun ke ahkaam do hamein
dasht-e-sarab-e-sang hai mazi ka iztirab
gar ho sake to mustaqil aaram do hamein
saughat mein mili hai mujhe raegan shafaq
kis ne kaha hai is ka bhi ilzam do hamein
yaadon ka ek hujum hai ai 'rind' aur hum
fursat nahin hai in dinon aaram do hamein
Ghazal
Ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein
P P Srivastava Rind