ehsan tera dil mera kya yaad karega
jo KHak ko us ki na tu barbaad karega
nai hasrat-e-gul-gasht na parwaz ki taqat
sadqe mein tere kya mujhe aazad karega
maujud hun hazir hun main raazi hun main KHush hun
sar par mere jo kuchh ki wo jallad karega
juz gham ke na hasil hua sohbat mein kisu ki
is dil ko ilahi koi bhi shad karega
sauda na gaya us ka tabibon ki dawa se
to aa ke ilaj ab koi fassad karega
jo is mein bhi changa na hua to koi din mein
ja KHana-e-zanjir ko aabaad karega
us ki jo kamar howe to khinche koi 'hatim'
kya apna sar aa kar yahan bahzad karega
Ghazal
Ehsan tera dil mera kya yaad karega
Shaikh Zahuruddin Hatim

