ehsan le na himmat-e-mardana chhoD kar
rasta bhi chal tu sabza-e-begana chhoD kar
marne ke baad phir nahin koi sharik-e-haal
jata hai sham-e-kushta ko parwana chhoD kar
honTon pe aaj tak hain shab-e-aish ke maze
saqi ka lab liya lab-e-paimana chhoD kar
afi nahin khuli hui zulfon ka aks hai
jate kahan ho aaina o shana chhoD kar
tul-e-amal pe dil na lagana ki ahl-e-bazm
jaenge na-tamam ye afsana chhoD kar
labrez jam-e-umr hua aa gai ajal
lo uTh gae bhara hua paimana chhoD kar
us pir-zal-e-dahr ki hum Thokaron mein hain
jab se gai hai himmat-e-mardana chhoD kar
pahron hamara aap mein aana muhaal hai
koson nikal gaya dil-e-diwana chhoD kar
utra jo shisha taq se zahid ka hai ye haal
karta hai raqs sajda-e-shukrana chhoD kar
ye suma-o-riya to nishani hai kufr ki
zunnar bandh subha-e-sad-dana chhoD kar
rindan-e-mai-kada bhi hain ai KHizr muntazir
basti mein aaiye kabhi virana chhoD kar
ehsan sar pe laghzish-e-mastana ka hua
hum do qadam na ja sake mai-KHana chhoD kar
wadi bahut muhib hai bim-o-umid ka
dekhenge sher par dil-e-diwana chhoD kar
ro ro ke kar rahi hai surahi widaa use
jata hai dur dur jo paimana chhoD kar
tauba to ki hai 'nazm' bina hogi kis tarah
kyun-kar jiyoge mashrab-e-rindana chhoD kar
Ghazal
Ehsan le na himmat-e-mardana chhoD kar
Nazm tabaa-tabaa.ii