dusri baaton mein hum ko ho gaya ghaTa bahut
warna fikr-e-sher ko do waqt ka aaTa bahut
kaenat aur zat mein kuchh chal rahi hai aaj kal
jab se andar shor hai bahar hai sannaTa bahut
aarzu ka shor barpa hijr ki raaton mein tha
wasl ki shab to hua jata hai sannaTa bahut
hum se to ek sher sun kar falsafi chup ho gaya
lekin us ne be-zaban naqqad ko chaTa bahut
dil ki baaten dusron se mat kaho luT jaoge
aaj kal izhaar ke dhandhe mein hai ghaTa bahut
Ghazal
Dusri baaton mein hum ko ho gaya ghaTa bahut
Shuja Khaavar