اردو हिंदी
Dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai | Shaahi Shayari
dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

Ghazal

Dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

Azlan shah

;

dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai
masala bhule hue KHwab ki tabir ka hai

chand qadmon se ziyaada nahin chalne pate
jis ko dekho wahi qaidi kisi zanjir ka hai

jo bhi karna hai faqat dil ki tasalli ke liye
waqt tahrir ka hai aur na tadbir ka hai

tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin
ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai

ye jo chalne nahin pate teri jaanib dar-asl
jaldi jaldi mein kahin Dar hamein taKHir ka hai

bilkul aise mujhe hasil hai himayat sab ki
har koi jaise taraf-dar yahan hir ka hai