اردو हिंदी
Dusra kinara bhi be-wafa kinara hai | Shaahi Shayari
dusra kinara bhi be-wafa kinara hai

Ghazal

Dusra kinara bhi be-wafa kinara hai

Ishaq Veerdag

;

dusra kinara bhi be-wafa kinara hai
ab to Dub jaana hi aaKHiri sahaara hai

main utar nahin sakta dusre kinare par
dusra kinara to dusra kinara hai

mujh pe ab mohabbat mein zahr pina wajib hai
main ne dil nahin haara hausla bhi haara hai

aasman ki wusat mein jaane ab kahan hoga
wo jo meri qismat ka be-KHabar sitara hai

waqt ki adalat ka faisla yahi hai ab
main bhi ek KHasara hun tu bhi ek KHasara hai

dusre kinare par ye KHabar hui mujh ko
wo to is kahani mein tisra kinara hai

main ne tere hisse ke ratjage bhi kaTe hain
main ne tere hisse ka qarz bhi utara hai