duriyon mein qarabaton ka maza
lije lije mohabbaton ka maza
kuchh maza barishon ki shorish ka
kuchh Tapakti hui chhaton ka maza
ho gai na tabah KHud-dari
le liya na riayaton ka maza
ek muhajir hi jaan sakta hai
kaisa hota hai hijraton ka maza
dhup ja-e-qarar sayon ki
har bagula masafaton ka maza
bhuk aur pyas zat ki lazzat
faqa-masti qanaaton ka maza
jaise sajde mein qatl ho koi
aisa hota hai chahaton ka maza
maut hai zindagi ki kamzori
jaan-kani apni quwwaton ka maza
ishq hota hai tab hi jab 'mohsin'
muntaqil ho tabiaton ka maza
Ghazal
Duriyon mein qarabaton ka maza
Mohsin Asrar