duriyan sari simaT kar rah gain aisa laga
mund li jab aankh to sine se koi aa laga
kis qadar apnaiyat us ajnabi basti mein thi
go ki har chehra tha begana magar apna laga
pas se ho kar jo wo jata to KHush hote magar
us ka katra kar guzarna bhi hamein achchha laga
us ghaDi kya kaifiyat dil ki thi kuchh hum bhi sunen
tu ne pahli bar jab dekha hamein kaisa laga
jis qadar gunjaan aabaadi thi us ke shahr ki
jaane kyun har shaKHs hum ko is qadar tanha laga
jism ka aatish-kada le kar to pahunche the wahan
hath jab us ka chhua to barf se ThanDa laga
jab kisi shirin-dahan se guftugu ki ai 'qamar'
apna lahja bhi hamein us ki tarah miTha laga

Ghazal
Duriyan sari simaT kar rah gain aisa laga
Qamar Iqbal