dur tha sahil bahut dariya bhi tughyani mein tha
ek shikasta-naw sa main tez-rau pani mein tha
mujh se milne koi aata bhi to milta kis tarah
main to ghar mein band KHud apni nigahbani mein tha
aadamiyat ke ewaz us ne KHarida hai libas
aadmi tha aadmi jab ahd-e-uryani mein tha
hai club ke rang-o-ramish mein bhi mere sath sath
ek sannaTa jo dil ki KHana-virani mein tha
tha wo mere KHair-maqdam ko ba-zahir pesh pesh
aks-e-digar lekin us ki KHanda-peshani mein tha
maqtal-e-sham-o-sahar mein kya panapti zindagi
shabnamistan honkte shoalon ki nigarani mein tha
mausam-e-gul bhi junun-parwar tha lekin beshtar
maslahat ka hath meri chaak-damani mein tha
'sabir' us manzar ki mowie le raha tha ek shaKHs
shaKH par ek aashiyan shoalon ki tabani mein tha
Ghazal
Dur tha sahil bahut dariya bhi tughyani mein tha
Nau Bahar Sabir