dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya
lauT kar jaana yahan se aur mushkil ho gaya
daKHila mamnua likkha tha fasil-e-shahr par
paDh to main ne bhi liya tha phir bhi daKHil ho gaya
KHwab hi bazar mein mil jate hain tabir bhi
pahle logon se suna tha aaj qail ho gaya
is hujum-e-be-karan se bhag kar jata kahan
tum ne roka to bahut tha main hi shamil ho gaya
pahle bhi ye sab manazir rokte the is dafa
aisa kya dekha ki tujh se aur ghafil ho gaya
ek mauqa kya mila KHush-fahmiyan baDhne lagin
rasta itna pasand aaya ki manzil ho gaya
aur kya deta bhala sahra-nawardi ka KHiraj
tu bacha tha ab ke tu bhi nazr-e-mahmil ho gaya
Ghazal
Dur tak phaila samundar mujh pe sahil ho gaya
Aashufta Changezi