dur tak phaila hua pani hi pani har taraf
ab ke baadal ne bahut ki mehrbani har taraf
hadse har moD par hain ghat mein kya kijiye
kis qadar arzan hai marg-e-na-gahani har taraf
ja chhupe andhi gupha mein jo qad-awar log the
aur baunon ki hui hai hukmarani har taraf
aag ke chappu hawa ke baadban miTTi ki naw
aur ta-hadd-e-nazar pani hi pani har taraf
bebasi par apni KHud alfaz hairan hain 'shabab'
istiaron ne badal Dale maani har taraf
Ghazal
Dur tak phaila hua pani hi pani har taraf
Shabab Lalit