dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par
rengti phirti hai chup dil ke dar-o-diwar par
tu ki hai baiTha KHas-e-auham ke ambar par
is tarah mat hans mere shoala-ba-kaf ashaar par
ai nizam-e-wahshat-afza tere sannaTon ki KHair
ek kiran hansne lagi hai raat ki talwar par
kirchanen dil ki ghani palkon pe hain bikhri hui
aaina TuTa paDa hai saya-e-asrar par
sher kahne ki gharaz se main ne aksar raat-bhar
phul se ehsas ko rakkha hai nok-e-KHar par
kya yahi manzil thi dil ki kya usi ke waste
gamzan barson raha gham ki rah-e-dushwar par
KHun ki bu aati hai paiham surat-e-haalat se
aankh roti hai lahu har surKHi-e-aKHbar par
kis himaqat ke ewaz kis jurm ki padash mein
waqt ne khincha hai mujh ko zindagi ki dar par
ek muddat se dil-o-jaan ne laga rakkhe hain kan
an-suni sargoshiyon ki ras-bhari jhankar par
Ghazal
Dur tak parchhaiyan si hain rah-e-afkar par
Takht Singh