اردو हिंदी
Dur tak ek sarab dekha hai | Shaahi Shayari
dur tak ek sarab dekha hai

Ghazal

Dur tak ek sarab dekha hai

Zulfiqar Naqvi

;

dur tak ek sarab dekha hai
wahshaton ka shabab dekha hai

zau-fishan kyun hain dasht ke zarre
kya koi mahtab dekha hai

baam o dar par hai sholagi raqsan
husn ko be-naqab dekha hai

nama-bar un se bas yahi kahna
nim-jaan ek gulab dekha hai

ab zamin par qadam nahin Tikte
aasman par uqab dekha hai

meri nazron mein bankpan kaisa
jagta hun ki KHwab dekha hai