اردو हिंदी
Dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha | Shaahi Shayari
dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha

Ghazal

Dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha

Basheer Ahmad Basheer

;

dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha
phir palak jhapki to kya dekha ki KHud main bhi na tha

ek taDap bijli ki aur diwar-o-dar miTTi ke Dher
ek taDap shoale ki aur dariyaon mein pani na tha

daere banti sadaen chhu ke jab hadd-e-ufuq
apne markaz ki taraf lauTin to kuchh baqi na tha

qaid-e-zindan-e-jasad mein tha ye kab kashf-e-wajud
aur bhi kuchh tha main sirf ek paikar-e-KHaki na tha

kya KHabar tum ne kahan kis rup mein dekha mujhe
main kahin moti kahin patthar kahin aaina tha

den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se
koi saat koi lamha koi pal KHali na tha

aarzu lal-o-gohar ki kis liye karta 'bashir'
harf-o-mani ka KHazina kya use kafi na tha