اردو हिंदी
Dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile | Shaahi Shayari
dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile

Ghazal

Dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile

Intikhab Syed

;

dur tak bas KHun ke Thahre hue dariya mile
muddaton jagi hui aankhon ko dekha ro paDe

ehtiraman zindagi ko munh lagana hi paDa
warna hum aur zindagi ka zahr tauba kijiye

apne kandhon par liye apni kai shaKHsiyyaten
raat bhar aankhon ke jangal mein bhaTakte hi rahe

chiKHte chillate andeshon ki aankhen surKH hain
jism ki na-puKHta saDkon se guzarna chhoDiye

KHun ke dhabbon ki sachchai Daraati hi rahi
apne bare mein kabhi socha to ghabrane lage

TuTe phuTe kale shabdon ke bhare bazar mein
is qadar KHud ko ghumaya hai ki kale paD gae