اردو हिंदी
Dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha | Shaahi Shayari
dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

Ghazal

Dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

Akbar Hyderabadi

;

dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha
raston ko ranj meri aabla-pai ka tha

fasl-e-gul ruKHsat hui to wahshaten bhi miT gain
haT gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha

toD hi Dala samundar ne tilism-e-KHud-sari
zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha

aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath
wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha

KHak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin
der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha