اردو हिंदी
Dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai | Shaahi Shayari
dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai

Ghazal

Dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai

Abdul Ahad Saaz

;

dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai
daKHil hote hi harjaana lagta hai

sans ki har aamad lauTani paDti hai
jina bhi mahsul chukana lagta hai

roz palaT aata hai lahu mein Duba tir
roz falak par ek nishana lagta hai

bich nagar din chaDhte wahshat baDhti hai
sham talak har-su virana lagta hai

umr zamana shahr samundar ghar aakash
zehan ko ek jhaTka rozana lagta hai

be-hasil chalte rahna bhi sahl nahin
qadam qadam par ek bahana lagta hai

kya uslub chunen kis Dhab izhaar karen
Tis nai hai dard purana lagta hai

honT ke KHam se dil ke pech milana 'saz'
kahte kahte baat zamana lagta hai