dur se mujh ko na munh apna dikhao jao
bas ji bas dekh liya main tumhein jao jao
is qadar aamad o shud tum ko zarar rakhti hai
dostan har ghaDi is ku main na aao jao
jaun jaun hi jo karte ho to mane hai kaun
jao mat jao jo jate ho to jao jao
aap ki aankhon se mere tain Dar lagta hai
mujh sitam-kushta se aankhen na milao jao
tum jahan jate ho mujh ko bhi KHabar hai sahib
apne jaane ko na bande se chhupao jao
sair-e-gulshan ko agar jate ho hamrah-e-raqib
baKHsho mere tain mujh ko na bulao jao
hum se kya munh ko chhupae hue jate ho tum
hum ne pahchan liya munh na chhupao jao
aap ki meri kisi tarah na howe ki sulh
faeda kuchh nahin baaten na banao jao
kya miyan 'mushafi' yan ji ke tain khooge
us ke kuche se kahin raKHt uThao jao
Ghazal
Dur se mujhko na munh apna dikhao jao
Mushafi Ghulam Hamdani

