dur se dekh rahe the mere ahbab mujhe
apne hamrah baha le gaya sailab mujhe
wo tere qurb ki KHushbu ko ayan ho na nihan
wo haqiqat bhi nazar aati hai ek KHwab mujhe
main ki sahil ka tamannai tha lekin ab to
apne aaghosh mein leta nahin girdab mujhe
main to sadiyon ka nindasa hun magar ye to batao
kyun ye mahaul nazar aata hai be-KHwab mujhe
istiara hun nae ahd mein gum-shudagi ka
bhulte jate hain mazi ke hasin KHwab mujhe
sar-e-hasti to usi chashm-e-gurezan se mila
kya mila 'rashk' sar-e-mimbar-o-mehrab mujhe
Ghazal
Dur se dekh rahe the mere ahbab mujhe
Sultan Rashk