dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum
bas taraste hi chale afsos paimane ko hum
mai bhi hai mina bhi hai saghar bhi hai saqi nahin
dil mein aata hai laga den aag mai-KHane ko hum
kyun nahin leta hamari tu KHabar ai be-KHabar
kya tere aashiq hue the dard-o-gham khane ko hum
hum ko phansna tha qafas mein kya gila sayyaad ka
bas taraste hi rahe hain aab aur dane ko hum
taq-e-abru mein sanam ke kya KHudai rah gai
ab to pujenge usi kafir ke but-KHane ko hum
bagh mein lagta nahin sahra se ghabraata hai dil
ab kahan le ja ke baiThen aise diwane ko hum
kya hui taqsir hum se tu bata de ai 'nazir'
taki shadi-marg samjhen aise mar jaane ko hum
Ghazal
Dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum
Nazeer Akbarabadi