اردو हिंदी
Dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai | Shaahi Shayari
dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai

Ghazal

Dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai

Shahid Latif

;

dur sahra mein jahan dhup shajar rakhti hai
aankh kya shai hai kahan ja ke nazar rakhti hai

aur kuchh roz abhi sur na phunka jae
us ke darbar mein duniya abhi sar rakhti hai

log manzil pe bahut KHush hain magar manzil bhi
lamha lamha pas-e-imkan-e-safar rakhti hai

aao us shaKHs ki rudad sunen ghaur karen
surKH-rui bhi jise KHak-basar rakhti hai

ye zehanat jo wirasat ki ata hai 'shahid'
koi diwar uThati hai to dar rakhti hai