dur rah kar na karo baat qarib aa jao
yaad rah jaegi ye raat qarib aa jao
ek muddat se tamanna thi tumhein chhune ki
aaj bas mein nahin jazbaat qarib aa jao
sard jhonkon se bhaDakte hain badan mein shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jao
is qadar hum se jhijakne ki zarurat kya hai
zindagi bhar ka hai ab sath qarib aa jao
Ghazal
Dur rah kar na karo baat qarib aa jao
Sahir Ludhianvi