dur kuchh ahl-e-junun ki be-qarari kijiye
ho sake to un ki thoDi gham-gusari kijiye
jin ke bistar se nahin jati koi silwaT kabhi
un ki aankhon mein wafa ke KHwab jari kijiye
ishq ki qismat yahi hai ishq ka mansab yahi
jagiye shab-bhar yunhi aKHtar-shumari kijiye
nochiye zaKHm-e-jigar ko aankh bhar kar roiye
aur kab tak hijr mein yun aah-o-zari kijiye
bhejiye koi bulawa koi chiTThi bhejiye
apne un pardesiyon se shahar-dari kijiye
log hain tayyar hijrat ke liye is shahr se
phir koi taza naya farman jari kijiye
phir koi taza bapa hone ko hai ek marka
nahr-e-furaat-e-karbala ko phir se jari kijiye
kaam aaega na koi mushkilon mein dekhna
jis qadar bhi doston se waza-dari kijiye
tishna-e-takmil Thahre baat na koi 'nabil'
guftugu jitni bhi hai dil mein wo sari kijiye
aaega kab sans warna dusra tujh ko 'nabil'
dil ke zaKHmon ki na aise parda-dari kijiye
Ghazal
Dur kuchh ahl-e-junun ki be-qarari kijiye
Nabeel Ahmad Nabeel