dur ke jalwon ki shadabi ka dil-dada na ho
tu jise dariya samajhta hai kahin sahra na ho
aaine ko ek muddat ho gai dekhe hue
wo jabin-e-shauq jis par soch ka saya na ho
wo bhi mere pas se guzra usi andaz se
main ne bhi zahir kiya jaise use dekha na ho
is taraf kya turfa aalam hai ye khul sakta nahin
aadmi ka qad agar diwar se uncha na ho
maslahat chahe rahun Dale tasanno ka naqab
dosti ki mang chehre par koi parda na ho
dhup se ghabra ke baiTha to hai lekin dekh le
ye kisi girti hui diwar ka saya na ho
qahqahon ki chhanw mein ek shaKHs baiTha hai udas
wo bhi meri hi tarah is bhiD mein tanha na ho
'sabir' in manus galiyon se to dil ukta gaya
aa chalen is shahr mein pahle jaise dekha na ho
Ghazal
Dur ke jalwon ki shadabi ka dil-dada na ho
Nau Bahar Sabir