اردو हिंदी
Dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah | Shaahi Shayari
dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah

Ghazal

Dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah

Bahram ji

;

dur ho dard-e-dil ye aur dard-e-jigar kisi tarah
aaj to ham-nashin use la mere ghar kisi tarah

tir-e-mizha ho yar ka aur nishana dil mera
tir pe tir ta-ba-kai kije hazar kisi tarah

nala ho ya ki aah ho sham ho ya pagah ho
dil mein buton ke hae hae kije asar kisi tarah

aai shab-e-firaq hai raat hai saKHt ye bahut
kije shumar-e-aKHtaran ta ho sahar kisi tarah

ishq mein dil se hum hue mahw tumhaare ai buto
KHali hain chashm-o-dil karo in mein guzar kisi tarah