اردو हिंदी
Dur hai manzil to kya rasta to hai | Shaahi Shayari
dur hai manzil to kya rasta to hai

Ghazal

Dur hai manzil to kya rasta to hai

Aazim Kohli

;

dur hai manzil to kya rasta to hai
ek nazar us ne mujhe dekha to hai

chand hathon mein nahin to kya hua
aasman par hi sahi dikhta to hai

KHush agar ghairon mein hai to KHush rahe
wo kahin bhi ho chalo achchha to hai

kuchh nahin hai aur to gham hi sahi
is bhari duniya mein kuchh apna to hai

aaj wo yun hi nahin mujh se KHafa
kuchh gila to hai koi shikwa to hai

kiya bharosa us ke wade ka magar
dil ke KHush rakhne ko ek wada to hai

us ne rakkha hai takalluf ka bharam
ab adawat par koi parda to hai

aa raha hai wo bhi aaKHir rah par
sun ke mera zikr kuchh kahta to hai

dil nahin 'azim' chalo jaan hi sahi
KHair us ne mujh se kuchh manga to hai