dur faza mein ek parinda khoya hua uDanon mein
us ko kya malum zamin par chaDhe hain tir kamanon mein
phul toD ke log le gae unche baDe makanon mein
ab hum kanTe saja ke rakkhen miTTi ke gul-danon mein
be-dar-o-baam Thikana jis mein dhul dhup sannaTa gham
wahi hai mujh wahshi ke ghar mein jo kuchh hai viranon mein
aap ke qadmon ki aahaT se shayad KHwab se jag uThe
soi hui viran udasi kamron mein dalanon mein
ranj o alam tanhai ke sathi guzar basar ko kafi hain
KHushi to shamil ho jati hai aae gae mehmanon mein
arman saje saje palkon par tar tar thi apni jeb
apne liye to zaKHm-e-dil the bazar aur dukanon mein
waqt ne kaisa rup diya jo log nahin pahchan sake
kash ki KHud ko dekh bhi sakte jag ke aaina-KHanon mein
zikr-e-'shams' udas karega chhoDo aur koi baat karo
aise shaKHs ki kyun tum ginti ginte ho insanon mein
Ghazal
Dur faza mein ek parinda khoya hua uDanon mein
Shams Farrukhabadi