dur baiThe hain kyun pas to aaiye
waqt rukta nahin yun na sharmaiye
zina-e-ishq bhi zinat-e-bait bhi
dil mein rakhiye qadam dil mein bas jaiye
chaar su hai ghaTa hai qayamat bapa
zulf bahr-e-karam yun na bikhraiye
chand to hai hasin aap sa to nahin
baat sach hai yahi man bhi jaiye
main hun bismil-nazar aap ko hai KHabar
mar na jaun kahin ab na taDpaiye
aap hi ka to naqsh-e-qadam chand hai
chandni ban ke aangan mein chha jaiye
Ghazal
Dur baiThe hain kyun pas to aaiye
Mohammad Azhar Shams