dur-andesh marizon ki ye aadat dekhi
har taraf dekh liya jab teri surat dekhi
aae aur ek nigah-e-KHas se phir dekh gae
jabki aate hue bimar mein taqat dekhi
quwwaten zabt ki har chand sambhaale thin mujhe
phir bhi Darte hue main ne teri surat dekhi
mahfil-e-hashr mein ye kaun hai mir-e-majlis
ye to hum ne koi dekhi hui surat dekhi
sab ye kahte hain use ab koi aazar nahin
kyun sitamgar mere zabt ki quwwat dekhi
sone walon pe na chamka kabhi nur-e-sahari
rone walon hi ke chehron pe sabahat dekhi
is qadar yas bhi hoti hai kahin duniya mein
ro diye hum jo teri chashm-e-inayat dekhi
mujh ko talim se fursat hi kahan ai 'shabbir'
kah liya sher koi jab kabhi fursat dekhi
Ghazal
Dur-andesh marizon ki ye aadat dekhi
Josh Malihabadi