اردو हिंदी
Dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib | Shaahi Shayari
dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib

Ghazal

Dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib

Mushafi Ghulam Hamdani

;

dukan-e-mai-farosh pe gar aae mohtasib
din id ke to KHub ghaDa jae mohtasib

ai charKH-e-fitna-gar ye rawa hai ki har baras
sahba-kashon pe baj ki Thahrae mohtasib

maston ne sangsar kya us ko bar-ha
lekin gaya na us pe bhi sauda-e-mohtasib

hathon se us ke shisha-e-dil chur hai mera
ya-rab kiye ki apne saza pae mohtasib

ye ku-e-mai-farosh mein raula hua ki raat
dahshat se wan Thahar na saka pa-e-mohtasib

mast-e-sharab-e-ishq ko bazar-e-dahr mein
zinhaar bim-e-shahna na parwa-e-mohtasib

kuchh de ke rishwat us ko tu pi 'mushafi' sharab
sab zar ke waste hai ye ghaugha-e-mohtasib