اردو हिंदी
Dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan | Shaahi Shayari
dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan

Ghazal

Dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan

Hasan Akbar Kamal

;

dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan
jin ko chunti phir rahi hain motiyon si laDkiyan

bagh mein bachchon ke gird-o-pesh yun uDti phiren
jaise qatil apna apna DhunDhti hun titliyan

wo mujhe KHushiyan na de aur meri aankhen nam na hon
hai ye paiman zindagi ke aur mere darmiyan

baam-o-dar un ke hawa kis pyar se chhuti rahi
chandni ki god mein jab so rahi thin bastiyan

kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge
aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan

ghumna pahron ghane mahke hue ban mein 'kamal'
wapsi mein dekhna apne hi qadmon ke nishan