Dubte taron se puchho na qamar se puchho
qissa-e-ruKHsat-e-shab sham-e-sahar se puchho
kis ne bahlaya KHizan ko gul-e-tar se puchho
gul pe kya guzri bahaaron ke jigar se puchho
kaun roya pas-e-diwar-e-chaman aaKHir-e-shab
kyun saba lauT gai rahguzar se puchho
raat bhar dip sar-e-rah jale kis ke liye
kyun andhera tha bhare ghar mein qamar se puchho
kis ke daman se lagi nikhat-e-gul roti hai
kaun hota hai juda ji ke nagar se puchho
ek aawaz to gunji thi ufuq-ta-ba-ufuq
karwan gum hai kahan gard-e-safar se puchho
Ghazal
Dubte taron se puchho na qamar se puchho
Anvar Moazzam