اردو हिंदी
Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan | Shaahi Shayari
Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

Ghazal

Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

Shamim Farooqui

;

Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan
phir bulati hain kisi ko baadbani kashtiyan

ek ajab sailab sa dil ke nihan-KHane mein tha
ret sahil dur tak pani hi pani kashtiyan

mauj-e-dariya ne kaha kya sahilon se kya mila
kah gain kal raat sab apni kahani kashtiyan

KHamushi se Dubne wale hamein kya de gae
ek anjaane safar ki kuchh nishani kashtiyan

ek din aisa bhi aaya halqa-e-girdab mein
kasmasa kar rah gain KHwabon ki dhani kashtiyan

aaj bhi ashkon ke is gahre samundar mein 'shamim'
tairti phirti hain yaadon ki purani kashtiyan