Dubte logon ki KHatir aas ka tinka hun main 
shairi gar kaam hai to kaam ka banda hun main 
ek din socha rakhun KHud ko zara tartib se 
aur phir socha ki ye kya kya sochta rahta hun main 
rafta rafta pahnunga sare makhoTe sab kawach 
waqt do ai shahr walo dasht se aaya hun main
        Ghazal
Dubte logon ki KHatir aas ka tinka hun main
Irshad Khan ’Sikandar’

