Dubte jate the tare baadban raushan hua
pau phaTi KHurshid ubhra aasman raushan hua
raat kahti thi diyon ki TimTimahaT kab talak
tirgi soi zamir-e-kun-fakan raushan hua
be-kasi ke dard ne lau di jal uTTha ek charagh
rafta rafta us se phir sara jahan raushan hua
jab sahaara aaKHiri TuTa to himmat jag uThi
bujh gae shams-o-qamar apna makan raushan hua
bisiyon jhuTe KHuda the ek haarun-al-rashid
aandhiyan uThin charagh-e-pasban raushan hua
rakh mein ab tak sulagti hain dabi chingariyan
bagh sara jal bujha lekin kahan raushan hua
chaDh rahi thi fitna-e-imroz ki debi pe bhenT
shahid-e-farda ka chehra na-gahan raushan hua
Ghazal
Dubte jate the tare baadban raushan hua
Saeed-ul-Zafar Chughtai