اردو हिंदी
Dubta hun jo haTata hun nazar pani se | Shaahi Shayari
Dubta hun jo haTata hun nazar pani se

Ghazal

Dubta hun jo haTata hun nazar pani se

Sabir Zafar

;

Dubta hun jo haTata hun nazar pani se
aur takta hun to chakraata hai sar pani se

chand bhi ab nikal aaya ufuq-e-ab ke par
mere gharqab badan tu bhi ubhar pani se

nama-bar koi nahin hai to kisi lahr ke hath
bhej sahil ki taraf apni KHabar pani se

ye bhi kya kam hai ki Tile to hue kuchh hamwar
banti jati hai nai rahguzar pani se

nahin malum ki bah jaun main kab KHas ki tarah
yun to mahfuz abhi tak hun 'zafar' pani se