Dubta dard ka suraj tere izhaar mein tha
DhunDne wala tujhe zat ke ambar mein tha
aaj tanha hun main iKHlas ke us jangal mein
aise aahu ki tarah ho ki kabhi Dar mein tha
tesha-e-yaad mein ab khod raha hun us ko
jo kabhi dafan mere zehn ki diwar mein tha
dopahar umr ki sae mein meri jis ke Dhali
wo ghana peD bhi is shahr ke ashjar mein tha
yun to sab log the is shor sharabe mein magan
koi apna na magar is bhare bazar mein tha
aaj tum sahab-e-izzat ho to inkar nahin
nam mera bhi kabhi surKHi-e-aKHbar mein tha
sochta hun to laraz uThta hai ehsas-e-ana
daera ban ke bhi main waqt ki purkar mein tha
Ghazal
Dubta dard ka suraj tere izhaar mein tha
Muneer Fatmi