Dubne wale ki mayyat par lakhon rone wale hain
phuT phuT kar jo rote hain wahi Dubone wale hain
kis kis ko tum bhul gae ho ghaur se dekho baada-kasho
shish-mahal ke rahne wale patthar Dhone wale hain
sone ka ye waqt nahin hai jag bhi jao be-KHabaro
warna hum to tum se ziyaada chain se sone wale hain
aaj suna kar apna fasana hum ye karenge andaza
kitne dost hain hansne wale kitne rone wale hain
main bhi unhen pahchan raha hun ghaur se dekho baada-kasho
shayad shaiKH-e-haram baiThe hain wo jo kone wale hain
Ghazal
Dubne wale ki mayyat par lakhon rone wale hain
Fana Nizami Kanpuri