اردو हिंदी
Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the | Shaahi Shayari
Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the

Ghazal

Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the

Saleem Kausar

;

Dubne wale bhi tanha the tanha dekhne wale the
jaise ab ke chaDhe hue the dariya dekhne wale the

aaj to sham hi se aaankhon mein nind ne KHeme gaD diye
hum to din nikle tak tera rasta dekhne wale the

ek dastak ki rim-jhim ne andeshon ke dar khol diye
raat agar hum so jate to sapna dekhne wale the

ek sawar ki saj-dhaj ko raston ki wahshat nigal gai
warna is tyauhaar pe hum bhi mela dekhne wale the

main ne jis saf ko chhoDa hai us mein shamil sare log
apne qad ko bhul ke apna saya dekhne wale the

main pani aur aag se ek miTTi ki KHatir lauTa tha
aur ye donon aalam khel-tamasha dekhne wale the

ab aaina hairat se ek ek ka munh takta hai 'salim'
pahle log to aaine mein chehra dekhne wale the