Dubne wala tha din sham thi hone wali
yun laga meri koi chiz thi khone wali
subh ke sath hui KHatm meri raat ki gasht
rah gai ek gali shahr ke kone wali
kitna shaffaf chamakta hua din tha jis ki
dhup thi pyar ki barish mein bhigone wali
kisi na-dida ghaDi ke liye tayyar tha main
aisi chup thi ki koi baat thi hone wali
zindagi maili hui gard-e-mah-o-sal ke sath
ek jagah chhoD ke hai puri ye dhone wali
lakh banjar ho zamin phir bhi panap jaegi
aaKHiri shai jo mere pas hai bone wali
itni masruf hai hangama-e-be-masraf mein
subh se pahle nahin raat ye sone wali
zindagi aur hi hoti hai basar karne ko
teri meri hai faqat bojh ko Dhone wali
kis jagah hoga mujhe joDne wala lamha
wo ghaDi zat ke danon ko pirone wali
sara sabza tha kisi maKHmali bistar ki tarah
aur zamin ghas ke taKHte pe thi sone wali
yun to har baat yahan hoti rahegi lekin
teri KHwahish ke mutabiq nahin hone wali
baat is bar gharon tak nahin rahni 'shahin'
ab ke tughyani hai shahron ko Dubone wali
Ghazal
Dubne wala tha din sham thi hone wali
Javed Shaheen