Dubne wala hi tha sahil baramad kar liya
us ne bil-aKHir hamara dil baramad kar liya
wo badan ki bhik dene par hua raazi to main
apni KHush-haali mein ek sail baramad kar liya
hum talash-e-haq mein nikle aur sharminda hue
us ne aaine se bhi baatil baramad kar liya
ishq ke munkir the hum to ye jahan napaid tha
jab hue isbaat par mail baramad kar liya
aag ke dariya mein kar ke raqs jab hum thak gae
rakh ke ek Dher se sahil baramad kar liya
kaun kahta hai ki hum masum buzdil log hain
us ne to har ghar se ek qatil baramad kar liya
Ghazal
Dubne wala hi tha sahil baramad kar liya
Nomaan Shauque