Dubna hai us se ye iqrar kar lena mera
phir ba-asani samundar par kar lena mera
kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera
ek KHushbu ban ke guzre sar se sare garm o sard
us ka chehra thamna aur pyar kar lena mera
ban gaya logon ki shan-e-kaj-kulahi ka sawal
apne sar ko laeq-e-dastar kar lena mera
'ramz' us ko de gaya ek tarz-e-fariyaad-o-fughan
band aankhon ko lab-e-izhaar kar lena mera
Ghazal
Dubna hai us se ye iqrar kar lena mera
Mohammad Ahmad Ramz