Duba hun to kis shaKHs ka chehra nahin utra
main dard ke qulzum mein bhi tanha nahin utra
zanjir-e-nafas likhti rahi dard ki aayat
ek pal ko magar sukh ka sahifa nahin utra
insan muallaq hain KHalaon ke bhanwar mein
ashjar se lagta hai ki dariya nahin utra
sunte hain ki is peD se ThanDak hi milegi
shaKHon ke darichon se to jhonka nahin utra
pathrai hui aankhon pe hairan na ho itna
is shahr mein koi bhi to zinda nahin utra
sahra-e-badan ko thi talab sae ki lekin
ek shaKHs bhi mear pe pura nahin utra
suraj ki talab mein kai nazrane diye hain
ghar ke dar-o-diwar se saya nahin utra
Ghazal
Duba hun to kis shaKHs ka chehra nahin utra
Tariq Jami