Dub kar is ka bhanwar kholenge
bahr-e-hasti ke guhar kholenge
pa-ba-jaulan nahin hoti himmat
aabju apni Dagar kholenge
lakh diwaren uThin zindan mein
hum daricha to magar kholenge
raushni chaar taraf phailegi
aaj wo aankh jidhar kholenge
sab sitare khaDe hain saf bandhe
aaj lagta hai wo dar kholenge
un farishton ko milenge ashaar
jab wo saman-e-safar kholenge
aaj wo tir liye baiThe hain
hum bhi hargiz na sipar kholenge
sher 'talib' ke sunenge jab bhi
uqda-e-arz-e-hunar kholenge
Ghazal
Dub kar is ka bhanwar kholenge
Murlidhar Sharma Talib