Dub jaenge sitare aur bikhar jaegi raat
dekhti rah jaengi aankhen guzar jaegi raat
raat ka pahla pahr hai ahl-e-dil KHamosh hain
subh tak roti hui aankhon se bhar jaegi raat
aarzu ki be-hisi ka gar yahi aalam raha
be-talab aaega din aur be-KHabar jaegi raat
raushni kaisi agar aalam andhera ho gaya
dil mein bas jaegi aankhon mein utar jaegi raat
koi aahaT bhi na sun paega KHwabida chaman
KHushk patton par dabe panw guzar jaegi raat
dil mein rah jaenge tanhai ke qadmon ke nishan
apne pichhe kitni yaaden chhoD kar jaegi raat
sham hi se so gae hain log aankhen mund kar
kis ka darwaza khulega kis ke ghar jaegi raat
der tak 'shahzad' aankhon mein phiregi chandni
kaT to jaegi magar kya kuchh na kar jaegi raat
Ghazal
Dub jaenge sitare aur bikhar jaegi raat
Shahzad Ahmad