اردو हिंदी
Dushwar hai is anjuman-ara ko samajhna | Shaahi Shayari
dushwar hai is anjuman-ara ko samajhna

Ghazal

Dushwar hai is anjuman-ara ko samajhna

Ajmal Siraj

;

dushwar hai is anjuman-ara ko samajhna
tanha na kabhi tum dil-e-tanha ko samajhna

ho jae to ho jae izafa gham-e-dil mein
kya aql se sauda-e-tamanna ko samajhna

ek lamha-e-hairat ke siwa kuchh bhi nahin hai
kuchh aur na is tundidariya ko samajhna

kuchh tez hawaon ne bhi dushwar kiya hai
qadmon ke nishanat se sahra ko samajhna