dushwar hai ab rasta aasan se aage
rakh umar-e-kuhan pichhla qadam dhyan se aage
aTka hua suraj hai isi ek sabaq par
baDhta nahin din raat ki gardan se aage
qismat ki KHarabi hai ki jata hun ghalat samt
paDta hai bayaban bayaban se aage
pahuncha to nahin main dar-e-waslat pe magar han
sunta hun kahin hai shab-e-hijran se aage
na taKHt na aabaad koi shahr saba ka
ek girya hai diwar-e-sulaiman se aage
KHamyaza hai is aadat-e-israf ka aur bas
jo be-sar-o-samani hai saman se aage
kal shor bapa dil mein tha pahchan ki KHatir
ab sakta hai aazar ka pahchan se aage
nikli na kisi ek ki tabir muafiq
sau KHwab the har KHwab-e-pareshan se aage
Ghazal
Dushwar hai ab rasta aasan se aage
Ejaz Gul