dushmani wo lae hain dosti ke daman mein
tirgi hai poshida raushni ke daman mein
adl ke liye mulzim kab se rah takta hai
kaun si hai majburi munsifi ke daman mein
go ki wo masiha hai par ye dard mere hain
kaise sare dukh rakh dun ajnabi ke daman mein
yun libas-e-bosida mal-o-zar se KHali hai
be-karan mohabbat hai muflisi ke daman mein
hum ana-parasti mein un ko bhi na kho baiThen
KHushnuma se jo pal hain hum sabhi ke daman mein
ek qalam ki taqat par hum ye jang jitenge
hauslon ki wusat hai zindagi ke daman mein
fikr ke naginon ko lafz ne tarasha hai
ai 'shifa' ye hire hain shaeri ke daman mein
Ghazal
Dushmani wo lae hain dosti ke daman mein
Shifa Kajgavnwi